Zeb Ghauri

mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
merā nishāñ bhī DhūñDh ġhubār-e-māh-o-aḳhtar meñ
kuchh manzar maiñ ne bhī banā.e banā.e haiñ manzar meñ
pūchho to zaḳhmoñ kā havāla denā mushkil hai
itnī be-tartībī sī hai dil ke daftar meñ
vo maujoñ kī tesha-zanī se gūñjtī chaTTāneñ
vo patthar sī raat kā Dhalnā chāñd ke paikar meñ
itnā yaad hai jab maiñ chalā thā sū-e-dasht-e-balā
maujeñ mārtā ik dariyā bahtā thā barābar maiñ
chamak rahā hai ḳhema-e-raushan duur sitāre sā
dil kī kashtī tair rahī hai khule samundar meñ
'zeb' mujhe Dar lagne lagā hai apne ḳhvāboñ se
jāgte jāgte dard rahā kartā hai mire sar meñ
Top Urdushayar.com