Zeb Ghauri

ek pili chamkili chiDiya kali aankh nashili si

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
ik piilī chamkīlī chiḌiyā kaalī aañkh nashīlī sī
baiThī hai dariyā ke kināre merī tarah akelī sī
jab maiñ nasheb-o-rañg-o-bū meñ utrā us kī yaad ke saath
os meñ bhīgī dhuup lagī hai narm harī lachkīlī sī
kis ko ḳhabar maiñ kis raste kī dhuul banūñ yā phuul banūñ
kyā jaane kyā rañg dikhā.e us kī aañkh pahelī sī
tez havā kī dhaar se kaT kar kyā jaane kab gir jaa.e
lahrātī hai shāḳh-e-tamannā kachchī bel chamelī sī
kam raushan ik ḳhvāb ā.īna ik piilā murjhāyā phuul
pas-manzar ke sannāTe meñ ek nadī pathrīlī sī
Top Urdushayar.com