maiñ tishna thā mujhe sar-chashma-e-sarāb diyā
thake badan ko mire pattharoñ meñ daab diyā
jo dastaras meñ na thā merī vo milā mujh ko
bisāt-e-ḳhāk se bāhar jahān-e-ḳhvāb diyā
ajab karishma dikhāyā ba-yak qalam us ne
havā chillā.ī samundar ko naqsh-e-āb diyā
meñ raakh ho gayā dīvār-e-sañg takte hue
sunā savāl na us ne koī javāb diyā
tahī-ḳhazāna nafas thā bachā ke kyā rakhtā
na us ne pūchhā na maiñ ne kabhī hisāb diyā
phir ek naqsh kā nairañg 'zeb' bikhregā
mire ġhubār ko phir us ne pech-o-tāb diyā