Zeb Ghauri

ghaar ke munh se ye chaTTan haTane ke liye

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
ġhaar ke muñh se ye chaTTān haTāne ke liye
koī nekī bhī nahīñ yaad dilāne ke liye
ik nigāh-e-ġhalat-andāz kā imkāñ niklā
kuchh zamīñ aur milī paañv baḌhāne ke liye
us kī rāhoñ meñ paḌā maiñ bhī huuñ kab se lekin
bhuul jaatā huuñ use yaad dilāne ke liye
sub.h darveshoñ ne phir raah lī apnī apnī
maiñ bhī baiThā thā vahāñ qissa sunāne ke liye
vo mire saath to kuchh duur chalā thā lekin
kho gayā ḳhud bhī mujhe raah pe laane ke liye
ek shab hī to basar karnā hai is dasht meñ 'zeb'
kuchh bhī mil jaa.e yahāñ sar ko chhupāne ke liye
Top Urdushayar.com