Zeb Ghauri

bahaar kaun si tujh mein jamal-e-yar na thi

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
bahār kaun sī tujh meñ jamāl-e-yār na thī
mushāhida thā tirā sair-e-lāla-zār na thī
mahaktī zulfoñ se ḳhoshe guloñ ke chhūT gire
kuchh aur jaise ki gunjā.ish-e-bahār na thī
ham apne dil hī ko rote the lekin is ke liye
jahāñ meñ kaun sī shai thī jo be-qarār na thī
talāsh ek bahāna thā ḳhaak uḌāne kā
pata chalā ki hameñ justujū-e-yār na thī
jhukā hai qadmoñ meñ tere vo sar ki jis ke liye
koī jagah bhī munāsib sivā.e daar na thī
na jaane 'zeb' dil-e-zār kyuuñ taḌap uTThā
havā-e-sub.h thī ḳhushbū-e-zulf-e-yār na thī
Top Urdushayar.com