merā adam vajūd bhī kyā zar-nigār thā
chāroñ taraf ḳhalā meñ chamaktā ġhubār thā
sāhil banī nigāh kī had fāsle miTe
girdāb-e-mauj-e-dūd makāñ kā hisār thā
pī kar lahū siyāh huī kisht-e-ārzū
kyā dekhte ki ḳhaak kā da.avā bahār thā
maujoñ meñ Dūbtī huī surḳhī thī shaam kī
dil dasht-e-pur-sukūt thā dariyā qarār thā
ik bojh uThā.e shaam ko lauTā huuñ maiñ niDhāl
maiñ apne dām-e-shauq meñ kyā ḳhud shikār thā
dil kā surāġh kyā ki jahāñ tak nigāh kī
nairañg-e-naqsh-e-rafta-e-pā-e-farār thā
maiñ ik shajar sukūt thā aur merī chhāñv meñ
girtā huā sadāoñ kā ik ābshār thā
ḳhurshīd-o-māh mere liye ik fasāna the
tārīk jañgaloñ kā maiñ lail-o-nahār thā
sho.ale darāz dast the aur mere sāmne
ḳhurshīd shām-e-dasht kā tārīk ġhaar thā
maiñ ḳhāk-e-dil bikher rahā thā havā meñ 'zeb'
aur is se be-ḳhabar thā ki us meñ sharār thā