Zeb Ghauri

sitamgaron ka tariq-e-jafa nahin jata

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
sitamgaroñ kā tarīq-e-jafā nahīñ jaatā
ki qatl karnā ho jis ko kahā nahīñ jaatā
ye kam hai kyā ki mire paas baiThā rahtā hai
vo jab talak mire dil ko dukhā nahīñ jaatā
tumheñ to shahr ke ādāb tak nahīñ aate
ziyāda kuchh yahāñ pūchhā-guchhā nahīñ jaatā
baḌe azaab meñ huuñ mujh ko jaan bhī hai aziiz
sitam ko dekh ke chup bhī rahā nahīñ jaatā
bharam sarāb-e-tamannā kā kyā khulā mujh par
ab ek gaam bhī mujh se chalā nahīñ jaatā
ajiib log haiñ dil meñ ḳhudā se munkir haiñ
magar zabān se zikr-e-ḳhudā nahīñ jaatā
uḌā ke ḳhaak bahut maiñ ne dekh lī ai 'zeb'
vahāñ talak to koī rāsta nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com