naqsh-e-tasvīr na vo sañg kā paikar koī
us ko jab dekho badal jaatā hai manzar koī
kashish-e-harf-e-tabassum hai laboñ meñ rū-posh
gosha-e-chashm se hañstā hai sitamgar koī
jurra-e-āḳhir-e-mai hai ki girāñ-ḳhvābī-e-shab
chāñd sā Duub rahā hai mire andar koī
chaḌhte dariyā sā vo paikar vo ghaTā se gesū
rāsta dekh rahā hai mirā manzar koī
sadaf-e-bahr se niklī hai abhī laila-e-shab
apnī muTThī meñ chhupā.e hue gauhar koī
kho gayā phir kahīñ aflāk kī pahnā.ī meñ
der tak chamkā kiyā TuuTā huā par koī
saf-e-a.adā hai mire sāmne aur pusht pe haiñ
na farishte na abābīloñ kā lashkar koī
TuuT kar girtī hai uupar mire chaTTān ki hai
bai.at-e-sañg mire dast-e-hunar par koī
raat bhar tāqat-e-parvāz ugātī hai unheñ
kaaT detā hai sahar-dam mire shahpar koī
mere qātil ne baḌhā dī mire sach kī tauqīr
is sile ke liye mauzūñ thā payambar koī
aaj is qarya-e-vīrāñ meñ ye aahaT kaisī
dil ke andar hai koī aur na bāhar koī
kisī jhāḌī se kiran chhūTī hai sūraj kī ki 'zeb'
chamak uTThā hai kisī haath meñ ḳhanjar koī