Zeb Ghauri

kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
kab talak ye shola-e-be-rañg manzar dekhiye
kyuuñ na harf-e-sabz hī likh kar zamīñ par dekhiye
phir kahīñ sahrā-e-jāñ meñ khā.iye taaza fareb
phir sarāb-e-chashma o aks-e-sanobar dekhiye
leT rahiye band kar ke āñkheñ jaltī dhuup meñ
aur phir sabz o siyah sūraj kā manzar dekhiye
phir barahna shāḳhoñ ke saa.e meñ dam liije kahīñ
reñgte sāñpoñ ko apne tan ke uupar dekhiye
daad diije shaukat-e-ta.amīr-e-arsh-o-farsh kī
aur phir buniyād-e-hast-o-būd Dhā kar dekhiye
chāñdnī rātoñ meñ ek aaseb ban kar ghūmiye
ghar kī dīvāroñ par apnā saaya be-sar dekhiye
hai jigar kis kā jo is teġh-e-hunar kī daad de
apne hāthoñ zaḳhm khā kar apnā jauhar dekhiye
be-dilī kī tah meñ ġhota maar kar baiThe haiñ ham
'zeb' phir paanī pe kab ubhregā patthar dekhiye
Top Urdushayar.com