Zeb Ghauri

jhuke hue peDon ke tanon par chhap hai chanchal dhaare ki

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
jhuke hue peḌoñ ke tanoñ par chhāp hai chanchal dhāre kī
haule haule Dol rahī hai ghaas nadī ke kināre kī
kasī huī mirdañg sā paanī havā kī thaap se bajtā hai
lahar tarañg se uThtī hai jhankār kisī ektāre kī
khulī fazā meñ nikle to zañg-e-yaksānī duur huā
ek havā ke jhoñke ne rañgat badlī añgāre kī
abr kī tah meñ bijlī chamkī us kā tabassum thā magar aur
lafzoñ meñ pahchān na paa.e thī jo baat ishāre kī
dekh rahā huuñ band ḳhudā kī muTThī hone vaalī hai
sub.h ke motī par ab bhī hai dhīmī aañch sitāre kī
saḳht chaTāneñ shīsha paanī gul-būTe sab zaa.e.a the
sañg-o-shajar ko ma.anī de ga.ī taan kisī banjāre kī
Top Urdushayar.com