Zeb Ghauri

na abr se tera saya na tu nikalta hai

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
na abr se tirā saaya na tū nikaltā hai
ġhubār-e-ā.īna-e-ābjū nikaltā hai
lahū kā rañg jhalaktā hai āñsuoñ meñ kahīñ
na ḳhāk-e-dil se sharār-e-numū nikaltā hai
is intishār meñ koī patā nahīñ chaltā
jo gard baiThe to ik dasht-e-hū nikaltā hai
chamak uThī haiñ khañDar kī shikasta dīvāreñ
kidhar se qāfila-e-rañg-o-bū nikaltā hai
na jaane kyā hai ki jab bhī maiñ us ko dekhtā huuñ
to koī aur mire rū-ba-rū nikaltā hai
liye-diye hue rakhtā hai ḳhud ko vo lekin
jahāñ bhī ġhaur se dekho rafū nikaltā hai
juḌā hai zaat se us kī har ek sher us kā
jo pattā shāḳh se toḌo lahū nikaltā hai
na dhund chhaTtī hai āñkhoñ ke sāmne se kabhī
na dil se hausla-e-justujū nikaltā hai
na chāñd ubhartā hai dīvār-e-shab se 'zeb' kahīñ
na sarv-e-ġham se qad-e-ārzū nikaltā hai
Top Urdushayar.com