rañg-e-ġhazal meñ dil kā lahū bhī shāmil ho
ḳhanjar jaisā bhī ho lekin qātil ho
is tasvīr kā aab o rañg nahīñ badlā
jaane kab ye dil kā naqsh bhī bātil ho
shor-e-fuġhāñ par itnī bechainī kaisī
tum se kyā tum kaun kisī ke qātil ho
dekh kabhī aa kar ye lā-mahdūd fazā
tū bhī merī tanhā.ī meñ shāmil ho
maiñ ki huuñ ek thakā-hārā aur māñda shaḳhs
merī anā kahtī hai mere muqābil ho
'zeb' savāl ab ye hai tujhe pahchāne kaun
kis kī nazar is gahrā.ī kī hāmil ho