koī bhī dar na milā nārasī ke marqad meñ
maiñ ghuT ke mar gayā apnī sadā ke gumbad meñ
ġhubār-e-fikr chhaTā jab to dekhtā kyā huuñ
abhī khaḌā huuñ maiñ harf-o-navā kī sarhad meñ
mire harīfoñ pe be-vaj.h ḳhauf ġhālib hai
hai kaun mere sivā mere vaar kī zad meñ
koī ḳhabar hī na thī marg-e-justujū kī mujhe
zamīñ phalāñg gayā apne shauq-e-behad meñ
ajab thā maiñ bhī ki ḳhud apnī hī sanā kī 'zeb'
phir ek hajv kahī is qasīde kī radd meñ