Thahrā vahī nāyāb ki dāman meñ nahīñ thā
jo phuul chunā maiñ ne vo gulshan meñ nahīñ thā
thī mauj lapaktī huī mere hī lahū kī
chehra koī dīvār ke rauzan meñ nahīñ thā
ḳhākistar-e-jāñ ko mirī mahkā.e thā lekin
juuhī kā vo paudā mire āñgan meñ nahīñ thā
āḳhir maiñ hadaf apnā banātā bhī to kis ko
merā koī dushman saf-e-dushman meñ nahīñ thā
chheḌā to bahut sabz havāoñ ne magar 'zeb'
sho.ala hī koī ḳhaak ke ḳhirman meñ nahīñ thā