maiñ aks-e-ārzū thā havā le ga.ī mujhe
zindān-e-āb-o-gil se chhuḌā le ga.ī mujhe
kyā bach rahā thā jis kā tamāshā vo dekhtā
dāman meñ apne ḳhaak chhupā le ga.ī mujhe
kuchh duur tak to chamkī thī mere lahū kī dhaar
phir raat apne saath bahā le ga.ī mujhe
juz tīrgī na haath lagā us kā kuchh surāġh
kin manziloñ se gard-e-navā le ga.ī mujhe
kis ko gumān thā ki kahāñ jā rahā huuñ maiñ
ik shaam aa.ī aur bulā le ga.ī mujhe
parvāz kī havas ne asīr-e-falak rakhā
ruḳhsat huī to daam meñ Daale ga.ī mujhe
sākit khaḌā thā vaqt magar tesha-zan havā
patthar kī tah se 'zeb' nikāle ga.ī mujhe