ḳhaak ā.īna dikhātī hai ki pahchān meñ aa
aks-e-nāyāb mire dīda-e-hairān meñ aa
hai sharāra havas-āmāda-e-parvāz bahut
yam-e-zulmāt bulātā hai ki tūfān meñ aa
jagmagātā huā ḳhanjar mire siine meñ utaar
raushnī le ke kabhī ḳhāna-e-vīrān meñ aa
is tarah chhup ki koī DhūñDh nikāle tujh ko
āsmānoñ se utar kar had-e-imkān meñ aa
baiTh jā apne kaTe sar ko liye hāthoñ meñ
thak gayā maiñ bhī yahāñ ganj-e-shahīdān meñ aa
ramna ḳhālī ram-e-āhū-e-ma.ānī se huā
chhup ke baiThā hī thā maiñ 'zeb' niystān meñ aa