tū pashemāñ na ho maiñ shaad huuñ nāshād nahīñ
zindagī terā karam hai tirī bedād nahīñ
vo sanam-ḳhāna-e-dil ho ki guzar-gāh-e-ḳhayāl
maiñ ne tujh ko kahīñ dekhā hai magar yaad nahīñ
dekh ai ḳhāk-e-pareshānī-e-ḳhātir merī
tū ne samjhā thā ki tujh sā koī barbād nahīñ
DhūñDtī phirtī haiñ jaane mirī nazreñ kis ko
aisī bastī meñ jahāñ koī bhī ābād nahīñ
kab hameñ apnī udāsī kī ḳhabar thī ai 'zeb'
muskurā.e haiñ to dekhā hai ki dil shaad nahīñ