Zeb Ghauri

be-hisi par meri wo KHush tha ki patthar hi to hai

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
be-hisī par mirī vo ḳhush thā ki patthar hī to hai
maiñ bhī chup thā ki chalo siine meñ ḳhanjar hī to hai
dho ke tū merā lahū apne hunar ko na chhupā
ki ye surḳhī tirī shamshīr kā jauhar hī to hai
raah niklī to koī toḌ ke chaTTānoñ ko
sāmne tiira o tārīk samundar hī to hai
saath huuñ maiñ bhī ki dil kī yahī marzī hai magar
dasht bhī be-dar-o-dīvār kā ik ghar hī to hai
thak ke ḳhvāboñ kī guzargāh se uTh aayā maiñ 'zeb'
kaun dekhe vahī dekhā huā manzar hī to hai
Top Urdushayar.com