Zeb Ghauri

gahri raat hai aur tufan ka shor bahut

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
gahrī raat hai aur tūfān kā shor bahut
ghar ke dar-o-dīvār bhī haiñ kamzor bahut
tere sāmne aate hue ghabrātā huuñ
lab pe tirā iqrār hai dil meñ chor bahut
naqsh koī baaqī rah jaa.e mushkil hai
aaj lahū kī ravānī meñ hai zor bahut
dil ke kisī kone meñ paḌe hoñge ab bhī
ek khulā ākāsh patañgeñ Dor bahut
mujh se bichhaḌ kar hogā samundar bhī bechain
raat Dhale to kartā hogā shor bahut
aa ke kabhī vīrānī-e-dil kā tamāshā kar
is jañgal meñ naach rahe haiñ mor bahut
apne basere panchhī lauT na paayā 'zeb'
shaam ghaTā bhī uTThī thī ghanghor bahut
Top Urdushayar.com