hai bahut taaq vo bedād meñ Dar hai ye bhī
jaañ salāmat na bachā lā.ūñ ḳhatar hai ye bhī
dil kī lau phir usī Thahrāo pe aa jā.egī
ik zarā der havāoñ kā asar hai ye bhī
jū-e-pāyāb-e-mohabbat meñ javāhir mat DhūñDh
kisī patthar ko samajh le ki guhar hai ye bhī
justujū gauhar-e-ma.anī kī ziyāñ vaqt kā hai
kyā parakhtā hai unheñ sarf-e-nazar hai ye bhī
manzileñ ḳhatm huiiñ tark o ta.alluq kī tamām
ab kisī samt nikal jā ki safar hai ye bhī
ab salāmat kahāñ rah pā.egā ye naqsh-e-vafā
kuchh lahū dil kā bachā le ki hunar hai ye bhī
dasht o dar meñ vahī surḳhī vahī peḌoñ pe chamak
zard phūloñ ko na dekho to sahar hai ye bhī
aage chal ke to kaḌe kos haiñ tanhā.ī ke
aur kuchh duur talak lutf-e-safar hai ye bhī
kyā hai maiñ jis ke tajassus meñ pareshān bhī huuñ
'zeb' kuchh haath na aa.egā ḳhabar hai ye bhī