Zeb Ghauri

aks-e-falak par aaina hai raushan aab zaKHiron ka

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
aks-e-falak par ā.īna hai raushan aab zaḳhīroñ kā
garm-e-safar hai qāz-e-qāfila sail-e-ravāñ hai tīroñ kā
kaTe hue khetoñ kī muñDeroñ par abrak kī zañgārī
thakī huī miTTī ke sahāre Dher lagā hai hīroñ kā
tez qalam kirnoñ ne banā.e haiñ kyā kyā hairat paikar
jhiil ke Thahre hue paanī par naqsh utrā tasvīroñ kā
kyā kuchh dil kī ḳhākistar par likh ke ga.ī hai mauj-e-havā
paḌhne vaalā koī nahīñ hai in miTtī tahrīroñ kā
reg-e-nafas kā zā.iqa muñh meñ gard-e-mah-o-sāl āñkhoñ meñ
maiñ huuñ 'zeb' aur chaar taraf ik sahrā hai ta.abīroñ kā
Top Urdushayar.com