maiñ chhū sakūñ tujhe merā ḳhayāl-e-ḳhām hai kyā
tirā badan koī shamshīr-e-be-niyām hai kyā
mirī jagah koī ā.īna rakh liyā hotā
na jaane tere tamāshe meñ merā kaam hai kyā
asīr-e-ḳhāk mujhe kar ke tū nihāl sahī
nigāh Daal ke to dekh zer-e-dām hai kyā
ye Dūbtī huī kyā shai hai terī āñkhoñ meñ
tire laboñ pe jo raushan hai us kā naam hai kyā
mujhe batā maiñ tirī ḳhaak ab kahāñ rakh duuñ
ki 'zeb' arz-o-samā meñ tirā maqām hai kyā