Zeb Ghauri

jag ke mere sath samundar raaten karta hai

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
jaag ke mere saath samundar rāteñ kartā hai
jab sab log chale jaa.eñ to bāteñ kartā hai
shaam ko der se pahuñchūñ to lagtā hai ḳhafā mujh se
mujh se bahut barham ho aisī ghāteñ kartā hai
mere sivā shāyad us kā bhī koī dost nahīñ
merī apnī jaane kyā kyā bāteñ kartā hai
dil ġham se bojhal ho to dekho phir chheḌeñ us kī
chhīñTe muñh pe maar ke kyā barsāteñ kartā hai
aur bhī gahrī ho jaatī hai us kī sargoshī
mujh se kisī kī āñkhoñ kī jab bāteñ kartā hai
mujh ko motiyoñ se kyā lenā 'zeb' samundar bhī
jaane kyā mire ashkoñ kī sauġhāteñ kartā hai
Top Urdushayar.com