murād-e-shikva nahīñ lutf-e-guftugū ke sivā
bachā hai pairahan jaañ meñ kyā rafū ke sivā
havā chalī thī har ik samt us ko paane kī
na kuchh bhī haath lagā gard-e-justujū ke sivā
kisī kī yaad mujhe baar baar kyuuñ aa.ī
us ek phuul meñ kyā shai thī rañg-o-bū ke sivā
ubhartā rahtā hai is ḳhāk-e-dil pe naqsh koī
ab is navāh meñ kuchh bhī nahīñ numū ke sivā
adhūrī chhoḌ ke tasvīr mar gayā vo 'zeb'
koī bhī rañg mayassar na thā lahū ke sivā