din tirī yaad meñ Dhal jaatā hai aañsū kī tarah
raat taḌpātī hai ik nashtar-e-pahlū kī tarah
jaane kis soch meñ Duubā huā tanhā tanhā
dil kā aalam hai kisī sarv-e-lab-e-jū kī tarah
haa.e vahshat koī manzil ho Thahartā hī nahīñ
vaqt hai daam se chhūTe hue aahū kī tarah
rah ga.ī ghuT ke mire dil meñ tamannā terī
ek parvāz-e-shikasta par-o-bāzū kī tarah
majlis-e-shaiḳh meñ kal zikr thā jis kā ai dost
hogī jannat bhī koī shai tire pahlū kī tarah
'zeb' ab zad meñ jo aa jaa.e vo dil ho ki nigāh
us kī raftār hai chalte hue jaadū kī tarah