Zeb Ghauri

shahr mein humse kuchh aashufta-dilan aur bhi hain

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
shahr meñ ham se kuchh āshufta-dilāñ aur bhī haiñ
sāhil-e-bahr pe qadmoñ ke nishāñ aur bhī haiñ
ret ke tuude chamak uThte haiñ jab zulmat meñ
aisā lagtā hai ki kuchh log yahāñ aur bhī haiñ
kaise manzar the ki shīshoñ kī tarah TuuT ga.e
magar āñkhoñ meñ ka.ī ḳhvāb-e-girāñ aur bhī haiñ
bastiyāñ dil kī bhī sunsān paḌī haiñ kab se
ye khañDar hī nahīñ sāyoñ ke makāñ aur bhī haiñ
shab ke sannāTe meñ chaTTānoñ ko dekho ai 'zeb'
tum se begāna-e-fariyād-o-fuġhāñ aur bhī haiñ
Top Urdushayar.com