Zeb Ghauri

garm lahu ka sona bhi hai sarson ki ujyali mein

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
garm lahū kā sonā bhī hai sarsoñ kī ujyālī meñ
dhuup kī jot jagāne vaale sūraj ghol piyālī meñ
ek sarāpā mahrūmī kā naqsha tū ne khīñch diyā
talḳhī kī zahrāb chamak bhī hai kuchh chashm-e-savālī meñ
rishta bhī hai nashv-o-numā kā farq bhī raushan lamhoñ kā
sabz sarāpā shāḳh-e-badan aur jañgal kī hariyālī meñ
larzish bhī hai sat.h-e-falak par gardish karte sitāroñ kī
vaqt kā ik Thahrāo bhī hai is aurañg-ḳhayālī meñ
shola-dar-shola surḳhī kī maujoñ ko tah-dār banā
vo jo ik gahrā.ī sī hai rañg-e-shafaq kī laalī meñ
āhista āhista ik ik buuñd falak se Tapkī hai
khīñch ik sannāTe kī fazā bhī shabnam kī ujyālī meñ
'zeb' na bin naqqāl-e-ā.īna jītī-jāgtī āñhkeñ khol
apnā zehn utaar ke rakh de rañgoñ kī is thālī meñ
Top Urdushayar.com