bujh kar bhī sho.ala dām-e-havā meñ asiir hai
qaa.em abhī fazā meñ dhueñ kī lakīr hai
guzrā huuñ us ke dar se to kuchh maañg luuñ magar
kashkol be-talab hai sadā be-faqīr hai
jo chāhe achchhe dāmoñ meñ us ko ḳharīd le
vo aadmī burā nahīñ par be-zamīr hai
dil par lagī hai sab ke vahī mohr barf kī
zāhir meñ garm-joshī-e-dast-e-safīr hai
DhūñDe se aadmī nahīñ miltā yahāñ pe 'zeb'
yuuñ is dayār-e-bahr meñ gauhar kasīr hai