lagā.ūñ haath tujhe ye ḳhayāl-e-ḳhām hai kyā
tirā badan koī shamshīr-e-be-niyām hai kyā
mirī jagah koī ā.īna rakh liyā hotā
na jaane tere tamāshe meñ merā kaam hai kyā
asīr-e-ḳhāk mujhe kar ke tū nihāl sahī
nigāh Daal ke to dekh zer-e-dām hai kyā
ye Dūbtī huī kyā shai hai terī āñkhoñ meñ
tire laboñ pe jo raushan hai us kā naam hai kyā