raat damaktī hai rah rah kar maddham sī
khule hue sahrā ke haath pe nīlam sī
apnī jagah sāhil sā Thahrā ġham terā
dil ke dariyā meñ ik halchal paiham sī
lambī raat guzar jaa.e ta.abīroñ meñ
us kā paikar ek kahānī mub.ham sī
apnī lagāvaT ko vo chhupānā jāntā hai
aag itnī hai aur ThanDak hai shabnam sī
mere paas se uTh kar vo us kā jaanā
saarī kaifiyyat hai guzarte mausam sī
shāyad ab bhī koī sharar baaqī ho 'zeb'
dil kī raakh se aañch aatī hai kam kam sī