Zeb Ghauri

sehn-e-chaman mein jaana mera aur faza mein bikhar jaana

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
sehn-e-chaman meñ jaanā merā aur fazā meñ bikhar jaanā
shāḳh-e-gul ke saath lachaknā sabā ke saath guzar jaanā
sehr-bharī do āñkheñ merā pīchhā kartī rahtī haiñ
nāgin kā vo muḌ kar dekhnā phir vaadī meñ utar jaanā
zaḳhm hī terā muqaddar haiñ dil tujh ko kaun sambhālegā
ai mere bachpan ke sāthī mere saath hī mar jaanā
sūraj kī in āḳhirī maddham kirnoñ ko gin sakte haiñ
din kā vo motī sā chamaknā phir paanī meñ utar jaanā
yahīñ kahīñ sahrā meñ Thahar jā dam lene kī baat nahīñ
ḳhaak sivā rakkhā hī kyā hai yahāñ se aur kidhar jaanā
us se ab dasht-e-imkāñ ke safar-hazar kā pūchhnā kyā
jis ne rāhguzar ke ghane peḌoñ ko bhī dard-e-sar jaanā
ek nihāñ-ḳhāne ke taaq par ā.īna rakkhā thā 'zeb'
ek jhalak sī apnī dekhnā aur vo merā Dar jaanā
Top Urdushayar.com