Sakhi Lakhnvi

hai chaman mein rahm gulchin ko na kuchh sayyaad ko

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
hai chaman meñ rahm gulchīñ ko na kuchh sayyād ko
ab ḳhudā hī shaad rakkhe bulbul-e-nāshād ko
sūjhtī thī koh-o-sahrā meñ yahī har dam mujhe
kījiye ġham qais kā aur roiye farhād ko
hichkiyāñ aatī haiñ par lete nahīñ vo merā naam
dekhnā un kī farāmoshī ko merī yaad ko
yaad meñ un ke havās-e-ḳhamsa de dete haiñ ham
aah ko naale ko ġhul ko shor ko fariyād ko
jā.egī gulshan talak us gul kī aamad kī ḳhabar
aa.egī bulbul mire ghar meñ mubārakbād ko
naza.a ke dam bhī unheñ hichkī na aa.egī kabhī
yūñhī gar bhūle raheñge vo 'saḳhī' kī yaad ko
Top Urdushayar.com