umr-bhar justujū rahegī kyā
aarzū aarzū rahegī kyā
nahīñ honā mukālima tujh se
ḳhud se hī guftugū rahegī kyā
raat ai raat sirf raat kī raat
mere pahlū meñ tū rahegī kyā
shor-e-ḳhāmoshī kam nahīñ honā
rāt-bhar hāv-hū rahegī kyā
tū jo mere gale bhī lag jaa.e
ruuh se ruuh chhū rahegī kyā
ḳhud ko kamre se gar nikāl duuñ maiñ
koī shai fāltū rahegī kyā
yuuñ bhī tazlīl kar ke auroñ kī
ḳhud tirī aabrū rahegī kyā
to dobāra sahar nahīñ honī
tīrgī chār-sū rahegī kyā
aisī retīlī zamīn meñ 'sāhir'
mujh ko tāb-e-numū rahegī kyā