adl ko bhī mīzān meñ rakhnā paḌtā hai
har ehsān ehsān meñ rakhnā paḌtā hai
yuuñ hī gyaan kī daulat haath nahīñ aatī
be-dhyānī ko dhyān meñ rakhnā paḌtā hai
jab bhī safar par jaane lago to yaad rahe
ḳhud ko bhī sāmān meñ rakhnā paḌtā hai
apne hone aur na hone kā imkān
honī ke imkān meñ rakhnā paḌtā hai
is niile ākāsh ko chhū lene ke liye
ḳhud ko ūñchī uḌaan meñ rakhnā paḌtā hai
yuuñ hī jañg kabhī jiitī nahīñ jā saktī
qadam apnā maidān meñ rakhnā paḌtā hai
thoḌī der tilāvat kar chikne ke ba.ad
mor kā par qur.ān meñ rakhnā paḌtā hai
kabhī kabhī to naf.a ke lālach meñ 'sāhir'!
ḳhud ko kisī nuqsān meñ rakhnā paḌtā hai