koī nazar na paḌ sake mujh hāl-mast par
baiThā huā huuñ is liye pichhlī nishast par
ik mauj-e-ātishīñ rag-o-pai meñ utar ga.ī
rakhā hai us ne juuñ hī kaf-e-dast, dast par
kab raas aa.ī mujh ko mirī fat.h kī ḳhushī
maiñ dil-shikasta ho gayā us kī shikast par
hai yaad mujh ko aaj bhī pahlā mukālima
qaa.im huuñ maiñ to aaj bhī ahd-e-alast par
kaise sambhāl rakkhā hai ik zaat ne use
shashdar huuñ kā.enāt ke kul band-o-bast par
tai marhala kiyā hai adam se vajūd kā
pahuñchā huuñ tab maiñ manzil-e-nā-hast-o-hast par
'sāhir'! maiñ apne-āp se aage nikal gayā
hairat-zada haiñ sab mirī rūhānī jast par