ba-zom-e-ḳhud kahīñ ḳhud se varā na ho jā.ūñ
ḳhudā-na-ḳhvāsta maiñ bhī ḳhudā na ho jā.ūñ
bas ek dhyān kī maiñ uñglī thaam rakhī hai
ki bhiiḌ meñ kahīñ ḳhud se judā na ho jā.ūñ
ye sochtā huuñ kisī dil meñ ghar karūñ maiñ bhī
aur us se pahle yahāñ be-Thikāna ho jā.ūñ
ye jī meñ aatā hai mere ki raftagāñ kī tarah
maiñ aaj mulk-e-adam ko ravāna ho jā.ūñ
sab ahl-e-dahr mujhe DhūñDte na rah jaa.eñ
maiñ apnī zaat hī meñ lāpatā na ho jā.ūñ
koī to ho jo mujhe zindagī hī meñ paa.e
kisī ke haath meñ aayā ḳhazāna ho jā.ūñ
jo ho sake to mire jīte-jī hī qadr karo
mabādā maiñ koī guzrā zamāna ho jā.ūñ
bas ek tajraba mere liye bahut hai dilā
ik aur ishq meñ phir mubtalā na ho jā.ūñ
maiñ ik charāġh-e-sar-e-rahguzār huuñ 'sāhir'
havā ke saath bil-āḳhir havā na ho jā.ūñ