Parvez Sahir

itna be-asra nahin hun main

Parvez Sahir

itnā be-āsrā nahīñ huuñ maiñ
aadmī huuñ ḳhudā nahīñ huuñ maiñ
hai abhī merī justujū jaarī
ya.anī ḳhud ko milā nahīñ huuñ maiñ
maiñ ne da.avā kiyā na hone kā
mujh ko ma.alūm thā nahīñ huuñ maiñ
nikal aayā maiñ zaat se bāhar
apne andar rahā nahīñ huuñ maiñ
maiñ jo huuñ maiñ bhī asl meñ tum huuñ
merī jaañ dūsrā nahīñ huuñ maiñ
tum mujhe jaan hī nahīñ sakte
aks huuñ aa.inā nahīñ huuñ maiñ
huuñ burā, māntā huuñ maiñ lekin
is qadar bhī burā nahīñ huuñ maiñ
dūsroñ kī to baat hī hai alag
apnā bhī ham-navā nahīñ huuñ maiñ
rāz-e-sar-basta kī tarah 'sāhir'
abhī ḳhud par khulā nahīñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com