Parvez Sahir

nairangi-e-KHayal pe hairat nahin hui

Parvez Sahir

nairañgī-e-ḳhayāl pe hairat nahīñ huī
mujh ko kisī kamāl pe hairat nahīñ huī
merī tabāh-hālī ko bhī dekh kar use
hairat hai mere haal pe hairat nahīñ huī
pūchhā thā maiñ ne jab use kyā mujh se ishq hai?
us ko mire savāl pe hairat nahīñ huī
dekhā jo ek umr ke ba.ad us ne aa.inā
ḳhud apne ḳhad-o-ḳhāl pe hairat nahīñ huī
ik umr se maiñ rafta-e-raftār-e-yār huuñ
mujh ko ram-e-ġhazāl pe hairat nahīñ huī
āḳhir ġhurūb honā hī thā āftāb-e-umr
mujh ko mire zavāl pe hairat nahīñ huī
vo shaḳhs is jahān kā thā hī nahīñ kabhī
'sāhir' ke intiqāl pe hairat nahīñ huī
Top Urdushayar.com