saudā-e-ishq yuuñ bhī utarnā to hai nahīñ
ye zaḳhm-e-rūh hai ise bharnā to hai nahīñ
sau baar aa.ina bhī jo dekheñ to fā.eda?
sūrat ko ḳhud-baḳhud hī sañvarnā to hai nahīñ
mujh ko ḳhabar hai dahr meñ zinda rahūñgā maiñ
'bullhe' kī tarah mar ke bhī marnā to hai nahīñ
jis lahr ko nigal ga.ī ik lahr dūsrī
us lahr ko dobāra ubharnā to hai nahīñ
tū jo yaqīn kar le ki vo hai to phir vo hai
shai kā vajūd asl meñ varna to hai nahīñ!
dharnā.ī kī tarah se jo dharnā bhī duuñ to kyaa?
dhartī pe us ne phir bhī utarnā to hai nahīñ
kartā huuñ ḳhud hī mab.has o taqrīr se gurez
tark-e-ta.alluq aap se karnā to hai nahīñ
vo jis ko apne-āp se lagtā nahīñ hai Dar
us ko ḳhudā kī zaat se Darnā to hai nahīñ
kyuuñ us ke intizār meñ baiThā huuñ der se?
is rah-guzar se us ne guzarnā to hai nahīñ
'sāhir' ye merā dīda-e-giryāñ hai aur maiñ
sahrā meñ koī dūsrā jharnā to hai nahīñ