Parvez Sahir

chashm-e-KHush-ab ki tamsil nahin ho sakti

Parvez Sahir

chashm-e-ḳhush-āb kī tamsīl nahīñ ho saktī
aisī shaffāf koī jhiil nahīñ ho saktī
merī fitrat hī meñ shāmil hai mohabbat karnā
aur fitrat kabhī tabdīl nahīñ ho saktī
us ke dil meñ mujhe ik jot jagānā paḌegī
ḳhud hī raushan koī qindīl nahīñ ho saktī
sikka-e-dāġh o zar-e-ġham se bharā hai mirā dil
dekh ḳhālī mirī zambīl nahīñ ho saktī
is liye shiddat-e-sadmāt meñ ro detā huuñ
mujh se jazbāt kī tashkīl nahīñ ho saktī
dukh to ye hai, vo mire dukh ko samajhtā hī nahīñ
us tak ehsās kī tarsīl nahīñ ho saktī
chhoḌ aayā huuñ tirā daftar-e-darbār-numā
ab tire hukm kī ta.amīl nahīñ ho saktī
is kasāfat kī latāfat se bhalā kyā nisbat?
tīrgī nuur meñ tahlīl nahīñ ho saktī
lāzmī to nahīñ 'sāhir'! vo mujhe mil jaa.e
ya.anī har ḳhvāb kī takmīl nahīñ ho saktī
Top Urdushayar.com