Syed Aabid Ali Aabid

waiz-e-shahr KHuda hai mujhe malum na tha

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
vā.iz-e-shahr ḳhudā hai mujhe ma.alūm na thā
yahī bande kī ḳhatā hai mujhe ma.alūm na thā
ġham-e-daurāñ kā mudāvā na huā par na huā
haath meñ kis ke shifā hai mujhe ma.alūm na thā
naġhma-e-nai bhī na ho bāñg-e-bat-e-mai bhī na ho
ye bhī jiine kī adā hai mujhe ma.alūm na thā
maiñ samajhtā thā jise haikal o mehrāb o kunisht
merā naqsh-e-kaf-e-pā hai mujhe ma.alūm na thā
apne hī saaz kī āvāz par hairāñ thā maiñ
zaḳhma-e-sāz nayā hai mujhe ma.alūm na thā
jis kī iimā pe kiyā shaiḳh ne bandoñ ko halāk
vahī bandoñ kā ḳhudā hai mujhe ma.alūm na thā
ḳhutba tarġhīb-e-halākat kā ravā hai ai dost
sher kahne kī sazā hai mujhe ma.alūm na thā
shab-e-hijrāñ kī darāzī se pareshān na thā
ye tirī zulf-e-rasā hai mujhe ma.alūm na thā
vo mujhe mashvara-e-tark-e-vafā dete the
ye mohabbat kī adā hai mujhe ma.alūm na thā
chehra khole nazar aatī thī urūs-e-gul-nār
muñh pe shabnam kī ridā hai mujhe ma.alūm na thā
kufr o īmāñ kī hadeñ kis ne ta.ayyun kī thiiñ
is pe hañgāma bapā hai mujhe ma.alūm na thā
yahī mār-e-do-zabāñ merā lahū chaaT gayā
rahnumā ek balā hai mujhe ma.alūm na thā
ajab andāz se thā koī ġhazal-ḳhvāñ kal raat
'ābid'-e-sho.ala-navā hai mujhe ma.alūm na thā
Top Urdushayar.com