Syed Aabid Ali Aabid

gham-e-dauran gham-e-jaanan ka nishan hai ki jo tha

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ kā nishāñ hai ki jo thā
vasf-e-ḳhūbāñ ba-hadīs-e-digrāñ hai ki jo thā
lazzat-e-arz-e-vafā rāhat-e-jāñ hai ki jo thī
dil-tapāñ ashk-e-ravāñ shauq-e-javāñ hai ki jo thā
shar.a-o-ā.īn kī ta.azīr ke bā-vasf shabāb
lab-o-ruḳhsār kī jānib nigarāñ hai ki jo thā
mere paañv se haiñ uljhe ho.e resham ke se taar
hamdamo ye to vahī bañd-e-girāñ hai ki jo thā
ishq kī tarz-e-takallum vahī chup hai ki jo thī
lab-e-ḳhush-gū-e-havas mahv-e-bayāñ hai ki jo thā
rāh-rau dasht meñ fariyād-kunāñ haiñ ki jo thā
ḳhanda-zan qāfila rāh-e-barāñ hai ki jo thā
muġhbache ḳhush haiñ ki bazm un kī hai saaqī un kā
bar-sar-e-kār vahī pīr-e-muġhāñ hai ki jo thā
jalva-e-yār se kyā shikva-e-be-jā kiije
shauq-e-dīdār kā aalam vo kahāñ hai ki jo thā
halqa-e-vāz se ab tak hai gurezāñ duniyā
halqa-e-zulf madār-e-do-jahāñ hai ki jo thā
mere hañsne pe ḳhafā the mire rone pe hañse
vahī rañg-e-sitam ishva-girāñ hai ki jo thā
sañg-e-tiflāñ se zarā bach ke rahe qasr-e-buland
ye vahī kār-gah-e-shīsha-garāñ hai ki jo thā
dosto ham-nafaso sunte ho 'ābid' kī ġhazal
ye vahī sho.ala-navā soḳhta-jāñ hai ki jo thā
Top Urdushayar.com