Syed Aabid Ali Aabid

chain paDta hai dil ko aaj na kal

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
chain paḌtā hai dil ko aaj na kal
vahī uljhan ghaḌī ghaḌī pal pal
merā jiinā hai sej kāñToñ kī
un ke marne kā naam tāj-mahal
kyā suhānī ghaTā hai sāvan kī
sāñvarī naar madh-bharī chanchal
na huā raf.a mere dil kā ġhubār
kaise kaise baras ga.e bādal
pyaar kī rāgnī anokhī hai
us meñ lagtī haiñ sab sureñ komal
bin piye añkhḌiyāñ nashīlī haiñ
nain kaale haiñ tere bin kājal
mujhe dhokā huā ki jaadū hai
paañv bajte haiñ tere bin chhāgal
laakh āñdhī chale ḳhayābāñ meñ
muskurāte haiñ tāqchoñ meñ kañval
laakh bijlī gire gulistāñ meñ
lahlahātī hai shāḳh meñ koñpal
khil rahā hai gulāb Daalī par
jal rahī hai bahār kī mash.al
kohkan se mafar nahīñ koī
be-sutūñ ho kahīñ ki bindhiyāchal
ek din pattharoñ ke bojh tale
ḳhud-baḳhud gir paḌeñge rāj-mahal
dam-e-ruḳhsat vo chup rahe 'ābid'
aañkh meñ phailtā gayā kājal
Top Urdushayar.com