Syed Aabid Ali Aabid

sab ke jalwe nazar se guzre hain

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
sab ke jalve nazar se guzre haiñ
vo na jaane kidhar se guzre haiñ
mauj-e-āvāz-e-pā-e-yār ke saath
naġhme dīvār-o-dar se guzre haiñ
aaj aayā hai apnā dhyān hameñ
aaj dil ke nagar se guzre haiñ
ghar ke goshe meñ the kahīñ pinhāñ
jitne sailāb ghar se guzre haiñ
zulf ke ḳham hoñ yā jahān ke ġham
mar miTe ham jidhar se guzre haiñ
sadaf-e-tah-nashīñ bhī kaañp gayā
kaise tūfān sar se guzre haiñ
baaġh shādāb mauj-e-gul hī nahīñ
sail-e-ḳhūñ bhī idhar se guzre haiñ
jab chaḌhī hai kamāñ kahīñ 'ābid'
tere mere jigar se guzre haiñ
Top Urdushayar.com