Syed Aabid Ali Aabid

ye arz-e-shauq hai aaraish-e-bayan bhi to ho

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
ye arz-e-shauq hai ārā.ish-e-bayāñ bhī to ho
adā-shanās to hai aañkh ḳhūñ-chakāñ bhī to ho
ḳhudā ḳhafā hai to sachche haiñ nāsehān-e-azīz
hamāre lab pe kabhī shikva-e-butāñ bhī to ho
ye rañg-o-nik.hat-o-tarkīb-o-lafz ḳhīra-sarī
ze-rāh-e-dīda ba-dil-mauj-e-ḳhūñ-ravāñ bhī ho
hameñ bhī naġhmagarī par hai naaz baat to kar
hameñ bhī jaañ nahīñ pyārī hai imtihāñ bhī to ho
abhī to huuñ dar-o-dīvār hī se mahv-e-kalām
harīf-e-daulat-e-ġham koī rāzdāñ bhī to ho
qatīl-e-nāz huuñ ai vā-e-e'timād-e-vafā
vo iltifāt kare pahle bad-gumāñ bhī to ho
kisī ko un se mohabbat kisī ko mujh se hasad
mileñ vo mujh se magar koī darmiyāñ bhī to ho
Top Urdushayar.com