Syed Aabid Ali Aabid

gul ki KHunin-jigari yaad aai

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
gul kī ḳhūnīñ-jigarī yaad aa.ī
phir nasīm-e-saharī yaad aa.ī
aaj farmān-e-rihā.ī pahuñchā
aaj be-bāl-o-parī yaad aa.ī
dushman ābād raheñ jin ke tufail
apnī ālī-guhrī yaad aa.ī
jab kisī ne mirī āñkheñ sī diiñ
tab mujhe dīda-varī yaad aa.ī
saaz jab TuuT ga.e ham-nafaso
ab tumheñ naġhmagarī yaad aa.ī
kabhī raushan jo huī sham-e-bahār
baaġh kī be-basarī yaad aa.ī
kam na the gardish-e-daurāñ ke gile
kyuuñ tirī kam-nazarī yaad aa.ī
pahle ma.alūm na thā dil kā maqām
ab tumheñ shīsha-garī yaad aa.ī
aaj arbāb-e-ḳhirad ko 'ābid'
merī shorīda-sarī yaad aa.ī
Top Urdushayar.com