gardish-e-jām nahīñ ruk saktī
jo bhī ai gardish-e-daurāñ guzre
sub.h-e-mahshar hai balā-e-zāhir
kisī sūrat shab-e-hijrāñ guzre
koī barsā na sar-e-kisht-e-vafā
kitne bādal guhar-afshāñ guzre
ibn-e-ādam ko na aayā koī raas
ka.ī aazar ka.ī yazdāñ guzre
ai ġham-e-yār tirī rāhoñ se
umr-bhar soḳhta-sāmāñ guzre
vo jo parvāne jale raat kī raat
manzil-e-ishq se āsāñ guzre
ġham-e-hastī ke bayābānoñ se
kuchh hamīñ the jo ġhazal-ḳhvāñ guzre
ġham ke tārīk ufuq par 'ābid'
kuchh sitāre sar-e-mizhgāñ guzre