Syed Aabid Ali Aabid

naghma aisa bhi mere sina-e-sad-chaak mein hai

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971

naġhma aisā bhī mire sīna-e-sad-chāk meñ hai

ḳhauf se hashr bapā gumbad-e-aflāk meñ hai

ai junūñ chal ḳham-e-gesū taraf dil to abhī

ālam-e-ḳhvāb meñ ādāb ke pechāk meñ hai

vo qafas ho ki nasheman ki panah-gāh nahīñ

tā.iro naġhmagaro barq-e-balā taak meñ hai

tere ḳhush-posh faqīroñ se vo milte to sahī

jo ye kahte haiñ vafā pairhan-e-chāk meñ hai

ye tasavvur hai abhī arsh abhī farsh pe thā

rañg-o-nairañg usī tausan-e-chālāk meñ hai

kyā bane sūrat-e-iz.hār-e-ma.anī ki ḳhayāl

abhī uljhā huā alfāz ke pechāk meñ hai

dar-e-iḳhlās dahlīz pe ḳham huuñ 'ābid'

ek jiine salīqa dil-e-be-bāk meñ hai

Top Urdushayar.com