Syed Aabid Ali Aabid

jo bhi minjumla-e-ashufta sara hota hai

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
jo bhī minjumla-e-āshufta sarā hotā hai
zīnat-e-mahfil-e-sāhab-nazrāñ hotā hai
yahī dil jis ko shikāyat hai girāñ-jānī kī
yahī dil kār-gah-e-shīsha-girāñ hotā hai
shāḳh-e-gulzār ke saa.e meñ kahāñ dam liije
ki yahāñ ḳhuun kā sail-e-guzarāñ hotā hai
kis ko dikhlā.iye apnoñ kī malāmat kā samāñ
ki ye uslūb hadīs-e-digrāñ hotā hai
kis ko batlā.īye vo rābta-e-nāz-o-niyāz
un kī mahfil meñ jo ai dīda-varāñ hotā hai
kabhī kartī hai tajallī nigarānī dil kī
kabhī dil sū-e-tajallī-nigarāñ hotā hai
mujh pe hote haiñ ġham-e-dil ke sahīfe nāzil
jin meñ afsāna-e-ālī-guharāñ hotā hai
dil bhī detā hai mujhe mashvara-e-tark-e-vafā
kuchh taqāzā-e-jahān-e-guzarāñ hotā hai
maiñ to huuñ shefta-e-rang-e-taġhazzul 'ābid'
ki yahī shāhid-e-ḳhūnīñ-jigrāañ hotā hai
Top Urdushayar.com