kisī kī ishva-garī se ba-ġhair-e-fasl-e-bahār
sabhī kā chaak girebāñ hai dekhiye kyā ho
tumheñ ḳhabar hī nahīñ ai tuyūr-e-naġhma-sarā
yahī chaman yahī zindāñ hai dekhiye kyā ho
jahāñ kashūd-e-navā par ḳhizāñ ke pahre haiñ
vahīñ bahār-e-ġhazal-ḳhvāñ hai dekhiye kyā ho
subū uThā ki ye nāzuk maqām hai saaqī
na ahrman hai na yazdāñ hai dekhiye kyā ho
ravāñ hai mauj-e-gul-o-lāla mauj-e-ḳhūñ kī tarah
chaman shahīd-e-bahārāñ hai dekhiye kyā ho
darāzi-e-shab-e-hijrāñ se mujh ko ḳhauf na thā
kisī kī zulf-e-pareshāñ hai dekhiye kyā ho
havā kā rañg ye hai āshiyāñ to ek taraf
qafas bhī shāḳh pe larzāñ hai dekhiye kyā ho
yahī hai dil se shikāyat ki merā mahram-e-rāz
mujhī se dast-o-girebāñ hai dekhiye kyā ho
hamīñ haiñ pīr-e-muġhāñ kāfiroñ ke ai 'ābid'
hamīñ ko dāvā-e-īmāñ hai dekhiye kyā ho